Turkia mein ek dil dukhane wala waqiya samne aaya hai jahan shaadi ki khushi pal bhar mein afsosnaak matam mein tabdeel ho gayi. Shaadi ki rasmon ke dauran hawaai firing ka silsila chal raha tha jo ke bohot se mulkon mein aik common riwayat ban chuki hai. Lekin isi hawaai firing ne is shaadi ka mahol ulat kar rakh diya jab goli seedha dulhe ko lag gayi.
Goli lagte hi shaadi ka jashn cheekhon aur rooh farsh manazir mein badal gaya. Mehmaan afra tafri mein idhar udhar bhagne lage aur dulhan samajh hi na paayi ke uske sapnon ka saathi aik pal mein usse hamesha ke liye chhoot gaya. Police ne foran action lete hue firing karne wali mulzima ko giriftar kar liya.
Yeh waqiya is baat ka wazeh saboot hai ke hawaai firing jese be-samajh rawaiye kis tarah zindagi ka sakoon cheen lete hain. Shaadi jese khushi ke moqe par gham ka saya dal dena sirf ek family ka dukh nahi balki samaj ke liye bhi aik bada sabaq hai.