Multan se ek dilchasp aur herat angez khabar samne aayi hai jahan ek school ki principal ne apne chaprasi se shadi kar li. Yeh waqiya na sirf ilaqay mein balke poore social media par behad viral ho gaya hai. Log is unusual rishtay par heran bhi hain aur bohot se log isey ek misaal bhi qarar de rahe hain.
Principal sahiba ek taleem yafta aur mohtaram shanakht rakhti hain jabke chaprasi sahab ek aam kirdar ke saath apni zindagi guzar rahe thay. Dono ki mulaqat roz marra ke school ke mahaul mein hoti rahi aur dheere dheere yeh mulaqat ek doosre ki izzat aur samajh mein tabdeel ho gayi. Akhirkar dono ne society ki parwah kiye baghair apni zindagi ko ek saath jorne ka faisla kiya aur shadi kar li.
Is unusual shadi ne sab ko yeh sochnay par majboor kar diya hai ke asal mein rishton ki buniyad mohabbat, izzat aur ek doosre ki samajh par hoti hai, na ke paisay, status ya society ke norms par. Kuch log is faislay ko criticize kar rahe hain lekin zyada tar comments mein logon ne principal sahiba ke hoslay aur chaprasi sahab ki qismat par mubarakbaad di hai.
Social media par is shadi ki tasaveer aur clips tezi se viral ho rahi hain aur har taraf isi baat ka zikar ho raha hai ke asal zindagi wo hai jahan do insaan ek doosre ke saath khushi aur wafadari se jee saken.