Pakistan mein aik naya aur afsosnaak rujhan samne aa raha hai jahan dikhawa karke logon ko dhoka diya jata hai. Hal hi mein ek case Amjad Ali ka samne aaya jahan usay ek khoobsurat larki dikhayi gayi aur rishte ke zariye uski zindagi mein umeed jagayi gayi. Rishta tay hone par Amjad se 90 hazar rupee le liye gaye aur shadi ke intezam kiya gaya. Har cheez bilkul asal lag rahi thi aur Amjad ne samjha ke uski zindagi ab khushi se bhar jaye gi.
Lekin asal kahani tab samne aayi jab shadi ki raat uski dulhan ghar se ghaib ho gayi. Amjad aur uski family ne jab talaash shuru ki to pata chala ke yeh aik purana aur professional gang hai jo masoom larkon ko khoobsurat ladkiyon ki tasveerin dikhakar pehle paisay bator leta hai aur phir shadi ki raat unhe akela chor kar farar ho jata hai.
Is group ki chalakiyan aur nakli kahaniyan itni mo’tabar hoti hain ke aam insaan unki baaton mein fas jata hai. Amjad ke saath bhi yahi hua jiska sapna sirf chand ghanton mein toot gaya.
Yeh waqiya humein yeh sabak deta hai ke rishton ke mamlaat mein hamesha tehqiqat aur tasdeeq karni chahiye. Aaj kal dhoke aur fraud karne wale log har jagah mojood hain jo insani jazbaat ko nishana bana kar paisay aur izzat dono loot lete hain.