Karachi ka ek school is waqt social media par sab se zyada discuss ho raha hai, jahan se ek video viral hui hai jo dekhne walon ko hairan aur pareshan kar rahi hai. Report ke mutabiq, school ke principal ne apne office mein ek female teacher ko bulaya aur use promotion ka lalach diya. Is dauran unke darmiyan aise manazir record huay jo kisi bhi izzatdaar taleemi idare ke liye afsosnaak aur sharmnaak hain.
Social media par log is video ko dekh kar gusse ka izhar kar rahe hain aur keh rahe hain ke aise logon ki wajah se teachers ki izzat aur taleemi mahol kharab hota hai. Bohat se logon ne demand kiya hai ke hukoomat aur school administration foran action le aur principal ke khilaf sakht karwai ki jaye.
Karachi ke taleemi idare se nikalne wali is shocking khabar ne parents ko bhi pareshan kar diya hai, kyunki jo teachers aur principals bachon ki tarbiyat ke zimmedar hote hain, agar wohi aisay qadam uthayen to society ka future khatre mein aa sakta hai. Yeh waqiya is baat ka saboot hai ke taleemi idaron mein bhi accountability aur sakht monitoring ki zarurat hai.