Chhoti Qad Ki Lambi Kahani – Meri Zindagi Ka Safar

Mujhmein shayad aik hi khami hai – mera qad chhota hai. Lekin main maanta hoon ke insaan ki asli bulandi uske qad mein nahi, balke uske jazbe aur sochnay ki unchai mein hoti hai. Main ek doctor hoon aur abhi meri age 26 years hai. Government hospital mein duty karti hoon jahan roz marizoun ke saath samna hota hai, unki takleef aur umeed dono dekhne ka moka milta hai.

Bachpan se logon ne aksar mere qad ko lekar comments diye, kabhi mazaak uraya aur kabhi afsos jataya. Lekin maine hamesha ye socha ke agar main apne ilm, mehnat aur khidmat se kisi ki zindagi bachaa sakti hoon to mera qad meri pehchaan nahi, meri rooh aur meri mehnat meri asal pehchaan hai.

Aaj jab main hospital ki white coat pehn kar logon ke liye umeed ban’ti hoon, to lagta hai ke Allah ne mujhe mere andaaz mein khaas banaya hai. Qad chhota sahi, lekin iraaday bade hain. Main chahti hoon ke har woh larki jo apne flaws ko soch kar ghabra jaati hai, wo samajh le ke khubi aur khami Allah ka diya hua tohfa hain. Aur asli khoobsurti apne aap ko accept karke apni talent se duniya ko kuch dekhana hai.

Meri kahani un sab ke liye hai jo samajhtay hain ke unmein koi kami hai. Yaad rakhiye, kami kabhi kamzori nahi hoti – wo sirf ek wajah hoti hai ke aap aur bhi zyada strong ban sakein.

Contact Us

Leave a Comment